Read in English  
       
Ramanthapur

Hyderabad: Itwaar raat Ramanthapur ke Gokul Nagar mein Krishnashtami juloos ke dauraan ek afsosnaak hadsa hua. Ek rath high voltage barqi taaron se takra gaya, jis ke natije mein electric shock lagne se 5 afraad halaak ho gaye aur 4 doosre log zakhmi hue.

Yeh waqia taqreeban aadhi raat ke qareeb us waqt pesh aaya jab juloos apna rasta tay kar raha tha. Shuru mein rath ko ek gaari se kheench kar le jaya ja raha tha. Magar jab gaari mein kharabi hui, to chand naujawanon ne ise haathon se dhakelna shuru kiya. Isi doran rath oopar se guzar rahe high voltage taaron se takra gaya. Nateeja yeh nikla ke 9 log barqi karant ka shikaar ho gaye.

Halaak hone walon mein Krishna Yadav (21), Suresh Yadav (34), Srikant Reddy (35), Rudra Vikas (39), aur Rajender Reddy (45) shamil hain. CPR ki koshish ke bawajood yeh sabhi log moqa-e-waqiye par hi dam tod gaye. Zakhmi afraad mein Srinivas bhi shamil hai, jo markazi Wazir Kishan Reddy ka gunman bataya gaya hai.

Zakhmi afraad ko foran ek maqami private hospital muntakil kiya gaya. Wahan unka ilaaj jaari hai. Police ne tamaam laashon ko postmortem ke liye Gandhi Hospital bhej diya hai. Ab tak kisi zimmedar afsar ya department ki taraf se safety la parwahi par koi official bayan samne nahi aaya.

Yeh hadsa maqami abadi aur juloos mein shirkat karne walon ke liye gehray sadme ka sabab bana hai. Muqammi afraad ne intizamiya se yeh demand ki hai ke barqi infrastructure ki behtar dekhbhaal ki jaye. Sath hi, juloos ke dauraan safety measures ko bhi mazeed mazboot banaya jaye.