Hyderabad: Itwaar shaam Hyderabad ke Langar Houz ilaqe mein us waqt khauf ka mahaul paida ho gaya jab Musi nadi ke kinare ek crocodile dekha gaya. Maqami afraad ke mutabiq iss season mein yeh teesra waqi’a hai jab nadi mein crocodile nazar aaya hai.
Yeh waqi’a us waqt samne aaya jab kuch bachay nadi ke kinare khel rahe thay aur unho ne crocodile ko ek bade pathar par araam karte hue dekha. Bachon ne foran aas-paas ke logon ko ittila di, jiske chand minute baad moqa par bheer jama ho gayi. Kai afraad ne is manzar ko apne mobile phones mein record kiya aur baad mein forest department aur police ko ittila di gayi.
Reports ke mutabiq Musi nadi mein crocodile ki activity mein izafa HImayat Sagar se paani chorne ke baad hua hai, jisse nadi ke bahao mein tazgi aayi hai. Is se pehle bhi is mahine ke aaghaz mein crocodile sightings Kishan Bagh, Asad Baba Nagar, aur Chaitanyapuri mein samne aa chuki hain.
Maqami bashinday apni aur apne bachon ki hifazat ko le kar kafi pareshaan hain. Unka kehna hai ke aise waqi’at ne poore ilaqe mein khauf aur bechaini ka mahaul paida kar diya hai. Logon ne mutaliqa department se demand ki hai ke Musi nadi ke kinare security measures aur monitoring ko barhaya jaye taake kisi nuqsan ka khatra na rahe.
