Hyderabad: Telangana ke Vanaparthi district mein ye waqiya samne aaya hai. Police ne 19 saal ke Ravinder ko giraftar kiya hai jisne apne 37 saal ke walid Hanumanthu ka qatal kar diya.
Family asal mein Vanaparthi se Hyderabad ke Gachibowli shift hui thi. Hanumanthu mistri ka kaam karke ghar chalata tha. Lekin uska bada beta Ravinder betting apps mein paisa laga kar sab kharch kar raha tha.
Beta ne walid ko betting ka paisa wapas na dene par qatal kiya
Hanumanthu ne apne chhote bete ki taleem ke liye zameen girvi rakh kar 6 lakh rupaye uthaye the. Is mein se 2.5 lakh Ravinder ke account mein dale gaye, lekin usne sab betting apps mein hara diya.
Lagaataar jhagde ke baad Tuesday ko Ravinder ne apne walid ko NTR Nagar le gaya. Usne surprise ka bahana bana kar aankhein bandh karai aur chhuri se gala kaat diya. Hanumanthu ki wahi maut ho gayi.
Police ne Ravinder ko giraftar kar ke qatal ka case darj kar liya.

































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































































