Hyderabad: Kamareddy police ne ek aurat samait 3 afraad ko giraftaar kiya hai jo lift ke bahaane logon ko lootne mein mulawwas the. Yeh gang pehle bhi Medchal aur Devunipalli police limits mein is tarah ki waradaatein anjam de chuki hai.
ASP Chaitanya Reddy ke mutabiq yeh waqia 19 July ko us waqt hua jab Domakonda mandal ke Chintamanupalli gaon ka rehne waala Sarl Chinna Gangayya kaam ke baad Kamareddy se wapas ja raha tha. Ek aurat ne local optician shop ke paas us se Kyasampalli tak lift maangi.
Gangayya ne lift di aur jab woh Nawab Venture ke paas pohncha toh aurat ne gadi rokne ko kaha. Us waqt do aadmi achanak aaye, use dhamkaya aur zabardasti ₹28,000 cash chheen kar farar ho gaye.
Shikayat milne par CI Narahari, CCS Inspector Srinivas aur SI Usman ki qiyaadat mein police team ne surveillance aur technical analysis ke zariye mulzimon ka pata lagaya aur unhein giraftaar kiya.
Tahqiqat mein maloom hua ke mulzim – Kadmanchi Lakshmi alias Haimad Bee (Marrigudem, Palwancha), Shaik Javid aur Shaik Abbu (Narasannapalli) – Kamareddy ke Shabbir Ali Colony mein reh rahe the aur pehle bhi isi tarah ki choriyon mein shamil rahe chuke hain.
Police ne inke qabze se ₹14,770 cash, ek motorbike aur teen mobile phones baramad kiye hain. Ab unke pehle ke crimes ki tafteesh jaari hai.
