Hyderabad: Saturday ko Durga visarjan ke dauran Saroor Nagar jheel par Crane Accident hua. Ek crane paani mein gir gayi, lekin koi jaani nuqsan nahi hua. Yeh haadsa logon mein panic ka sabab bana. Officials ne kaha ke agar crane sadak ki taraf girti to nuksan pakka hota.
Saroor Nagar ke Residents ne is incident ka zimma GHMC par daala. Unka kehna hai ke visarjan ka theka ek inexperienced company ko diya gaya tha.
Maintenance aur purane haadson par sawaal
Awam ne bataya ke GHMC ne “City Crane Services” ko is wajah se hire kiya kyunki unka quotation 43% sasta tha. Logon ka kehna hai ke company ke paas na proper tajurba hai, na crane ki maintenance sahi hoti hai. Isi wajah se yeh accident hua.
Residents ne yaad dilaya ke pichle saal Ganesh visarjan ke waqt bhi isi company ki crane Tank Bund par palat gayi thi. Bawajood iske, GHMC ne iss saal bhi unhi logon ko kai jagahon ka theka diya. Public ne civic officials par sakht tanqeed ki aur demand kiya ke aage se sirf reliable companies ko preference di jaye.
