
Hyderabad: UPI ka istemal karne wale users ko 1 August se naye quyadat ka samna karna padega. National Payments Corporation of India (NPCI) ne New UPI Rules ke zariye daily bank balance check aur account view par restrictions laagu kar di hain.
NPCI ke mutabiq, UPI users ab sirf 50 dafa rozana apna bank balance check kar sakenge. Agar is limit se zyada check kiya gaya to service charge laagu hoga. Isi tarah, mobile number se linked bank accounts ko sirf 25 martaba rozana view kiya ja sakega.
NPCI ne ye bhi bataya ke auto-pay transactions ke liye naye time slots fix kiye gaye hain taake processing mein delays aur failures ko kam kiya ja sake. Magar UPI ke zariye fund transfer ki existing limit mein koi tabdili nahi ki gayi hai.
Idare ne wazahat ki ke ye tabdiliyan UPI platform ki performance behtar banane aur recurring payments ke process ko streamline karne ke liye ki gayi hain. Digital payment ecosystem ke efficiency ko barhane ke liye yeh ek ahem qadam mana ja raha hai.