Read in English  
       
Cyber Jagrukta Diwas

Hyderabad: Telangana Cyber Security Bureau (TGCSB) ne Cyber Jagrukta Diwas 2025 ka launch kar diya hai jiska maqsad public ko badhte hue cyber threats ke baare mein aware karna hai. Bureau ki Director General Shikha Goel ne Wednesday ko ye information share ki.

Campaign ke dauran state bhar mein special drives organize ki gayi jahan logon ko business aur investment scams, identity theft, fake loan apps, aur misleading online ads ke khilaf aware kiya gaya. Goel ke mutabiq, total 577 awareness programmes Telangana mein conduct kiye gaye.

Public ko un calls se bhi hoshiyar rehne ko kaha gaya hai jo police ya kisi law enforcement agency ke naam par video call, Skype ya phone call ke zariye investigation ka dawa karti hain. DG Shikha Goel ne clear kiya ke police kabhi bhi iss tarah se investigation nahi karti.

Logon ko impersonation scams se bachne ke liye alert rehne ki salahiyat di gayi hai. Agar kisi ko cybercrime ka shikar hona pade to turant national cyber helpline 1930 par call karke incident report karne aur assistance lene ka mashwara diya gaya hai.