Hyderabad – Monsoon Floods ne Bharat mein tabahi machadi. Himachal Pradesh mein 24 July se ab tak 366 afrad jaan se gaye hain jabke riyasati hukoomat ne 4 lakh crore rupay ke nuqsan ki tasdeeq ki hai.
Shimla mein 116 faizad aur Kullu mein 113 faizad zyada barish hui, jo mamool se dugni thi. Land slide aur achanak aane wale silab ne surat-e-haal ko aur bhi shadeed bana diya.
Monsoon Floods ne Punjab, Uttarakhand aur UP ko lapait mein liya
Punjab ke tamam 23 zelay ab tak mutasir hain. Mausam department ke mutabiq agle teen din barish ka imkaan nahi magar Ludhiana ke Sarsari dam ke tootne ka khatra hai.
Uttarakhand ke Uttarkashi zila ke Naugaon mein haftay ki shaam badal phatne se bazaar aur gharo mein malba ghus gaya aur kai gaariyan beh gayin.
Uttar Pradesh ke Mathura mein Yamuna nadi ek kilometer andar tak shehar mein aa gayi. Ashramon mein 5 foot tak pani bhar gaya aur Vrindavan Parikrama Marg doob gaya.
Wazir-e-azam Narendra Modi 9 September ko mutasir ilaqon ka daura karenge.



























































































































































































































